Monday, October 13, 2014

Hum ke Thehrey ajnabi

Hum ke Thehrey ajnabi itni madaraton ke baad
phir banain ge aashna kitni mulaqaton ke baad

Kab nazar mein aaey gi be_dagh sabzey ki bahar
Khoon ke dhabbey dhulain ge kitni barsaton ke baad

dil to chaaha par shikasht-e-dil nay muhlat hi na di
kuch giley shikvey bhi kar laitey manajaaton ke baad

thay buhat be_dard lamhey Khatm-e-dard-e-ishq ke
thein buhat be_mehar subhain meherban ratoN ke baad

un se jo kehney gaey they "faiz" jaan sadqa kiye
unkahee hi reh gai voh baat sab batoN ke baad
[Faiz Ahmad Faiz Poetry]

faiz ahmed faiz urdu poetry, urdu shayari
faiz ahmed faiz urdu shayari

No comments:

Post a Comment