Monday, October 13, 2014

Hum ke Thehrey ajnabi

Hum ke Thehrey ajnabi itni madaraton ke baad
phir banain ge aashna kitni mulaqaton ke baad

Kab nazar mein aaey gi be_dagh sabzey ki bahar
Khoon ke dhabbey dhulain ge kitni barsaton ke baad

dil to chaaha par shikasht-e-dil nay muhlat hi na di
kuch giley shikvey bhi kar laitey manajaaton ke baad

thay buhat be_dard lamhey Khatm-e-dard-e-ishq ke
thein buhat be_mehar subhain meherban ratoN ke baad

un se jo kehney gaey they "faiz" jaan sadqa kiye
unkahee hi reh gai voh baat sab batoN ke baad
[Faiz Ahmad Faiz Poetry]

faiz ahmed faiz urdu poetry, urdu shayari
faiz ahmed faiz urdu shayari

Thursday, October 9, 2014

Gham-naak samandar mein kinare na bicharte

[Farhat abbas shah]
Gham-naak samandar mein kinare na bicharte
Tum bichrey they yadon k saharey na bicharte

Mein teri judai ka sitam jhel hi leta
Uss raat agar chand sitare na bicharte

Ik dujey se kuch dard ki taqseem to rehti
Jeewan mein agar dard k marey na bicharte

Har rang mein hai ilat-o-malol zaroori
Aankhen na bicharti to nazare na bicharte

Is tor se yadon ki bhi surat nikal aati
Hum bhool gaye hote jo pyaarey na bicharte
urdu poetry, farhat abbas shah
Farhat abbas shah shayari
 

Mohabbat mar di tumne

Sulagti talkh baton se,..
BaRey be-dard haathon se...
Lo dekho haar di tum ne...
' Mohabbat '
maar di tum ne… ! !
[Dard poetry]
dard urdu poetry, dard poetry in urdu
dard shayari pics

Monday, October 6, 2014

Meri sochain badalti ja rahi hain

amjad islam amjad, urdu poetry, urdu shayari
Amjad islam amjad
[Amjad islam amjad poetry] 
Meri sochain badalti ja rahi hain,
K ye cheezain badalti ja rahi hain,

Tamasha ek hai roz-e-azal se,
Faqat aankhain badalti ja rahi hain,

Badalte manzron ke aayine mein,
Teri yadain badalti ja rahi hain,

Dilon se jorrTi thi jo dilon ko,
Wo sab rasmain badalti ja rahi hain,

Adhoori na’mukamal khawhishain kyon,
Nayi shaklain badati ja rahi hain,

Agar manzil wohi hai rahiyon ki,
To kyon rahain badati ja rahi hain,

Na janey kyon mujhe lagta hai Amjad,
Ke woh nazrain badalti ja rahi hain



Saturday, October 4, 2014

Aag lehra kar chali hai usey sandal kar do

[Bashir badr urdu poetry]
Aag lehra kar chali hai, usey sandal kar do
tum mujhe raat ka, jalta hua jangal kar do

chand sa misra akela hai mere kagaz par
chhat pe ajao mera sher mukamal kar do

mein tumhen dil ki siyasat ka hunar deta hu'n
ab ussay dhoop bana do mujhe pagal kar do

apne aangan ki udasi se zara baat karo
neem ke sookhe hue per ko sandal kar do

tum mujhe chhor ke jao ge to mar jaonga,
yun karo jane se pehle mujhe pagal kar do
bashir badr urdu poetry, urdu shayari, urdu poetry
Bashir badr shayari


Barson ke baad dekha Ik shakhs dilruba sa

[ahmed faraz urdu poetry]
Barson ke baad dekha Ik shakhs dilruba sa
ab zehen mein nahi hai par naam tha bhala sa

abru khichey khichey se aankhen jhuki jhuki si
baaten ruki ruki si leja thaka thaka sa

alfaz they ke jugnoo awaz ke safar mein
ban jaye jangalo'n mein jis tarah raasta sa

khwabon mein khwab uske yaadon mein yaad uski
neendon mein ghul gaya ho jese ke ratjaga sa

pehley bhi log aaye kitne hi zindagi mein
wo har tarah se lekin auron se tha juda sa

agli mohabbaton ne wo namuradian dien
taaza rafaqaton se dil tha dara dara sa
Ahmed faraz urdu poetry, urdu shayari by ahmed faraz
Ahmed faraz poetry pics